Øwâis Khan Øwâis Khan

Pichley kuch mahino se koi raaz mujhe khaya jaaraha tha...

Dil khali sa lagne laga tha.. 

Lekein wazan toh ulta badta ja raha  tha.. 

Har kami ko bharney ki koshish ki.. 

Murda jo hogaya tha dil mera.. 

Ussey hasaane ya rulaney ki bohot koshish ki.. 

Lekin... Wo kuch kehti hi nahi thi... 

Chupsi mahol bana kar neendh mei kho gayi thi.. 

Iss ki wajha se mei kuch likh bhi nahi paaraha tha.. 

Aap hi batao.. Ke bina ahsaas ke alfaaz kahaan bayaan hotey hain... 

Lekin ek din.. Dil utt gayi

Kehne ke liye shayad alfaaz kamm they.. 

Iss liye ro padi

Aur. 

Apney aansuon ke zubaani kuch baatein bayaan kar gayi.. 

Jaisey Ek raaz ko kambal se dhapney ki zarurat padti hai..

Jaisey woh kuch sehme huwe alfazon ko bhulana padta hai..

Waisey ek chota sa raaz se mei guzar raha hun...

Khwabon se sawaal aur takleef se baatein karahaan hun...

.

Khuda ki yeh naraazgi nahi seh jarahi mujh se...

Darte huwe zindagi nahi reh jaarahi hai mujh se...

Bass ek lamhe ka intezaar hai..

Yeh baat ek dhoka hai khudse..

.

Dil toh kehta hai ke sab bol daalun..

Barastey aasmaan ke nichey jaakar jee bhar ke roo dun..

.

Lekin phir woh ek lammhe ke intezaar kehkar..

Dil behla hi deta hun..

.

Chalo uss din ki baat karta hun..

Woh din toh aaya tha.. Ek baar...

.

Mei toh thamgaya tha... Lekin meri dhadkan waisey hi thi..

Ruh toh sehem gayi thi... Lekin jism mera jamm gaya tha...

.

Laga ke jeena seekhliya mei ne...

Khud ko badal kar shayad sabb ka dil jeet liya mei ne..

.

Lekin khuda toh abb bhi naaraaz tha..

Jo nayi zindagi banayi thi.. Usmey mei tuta pada tha...

.

Apney puraaney lambhon ki yaad aati thi..

Woh baatein jo khuwaabh bann kar mar chuki thi..

.

Toh abb..

Nayi zindagi paakar bhi mei roo rahaan hun...

Phir wohi purana jhoot dohraaney laggaya hun..

Ke..

Bass woh ek lamhey ka intezaar hai..

Kya abb bhi ye ek jhoota khuwaab hai...

.

Øwâis Khan

Øwâis Khan Creator

(No description available)

Suggested Creators

Øwâis Khan